Abd Honay Ka Tajruba Kia Hai

Abd hone ka tajurba kiya hai
Us ne sone ka tajurba kiya hai

Tum unhein baarishen samajhte ho
Hum ne rone ka tajurba kiya hai

Yeh parinda na doobta, us ne
Par bhigone ka tajurba kiya hai

Us ne naakhun barhaye aur hum ne
Zakhm hone ka tajurba kiya hai

Hum se kheela gaya hai sach much mein
Ya khilone ka tajurba kiya hai

Aas ki aankhon mein hum nahin doobe
Yunhi khone ka tajurba kiya hai

Ek patthar utha ke chaadar mein
Sang dhone ka tajurba kiya hai
Share: