bahut shiddat se jo qaim howa tha

Bohat shiddat se jo qa'im hua tha
Woh rishta hum mein shaayad jhoot ka tha

Mohabbat ne akela kar diya hai
Main apni zaat mein ek qafila tha

Meri aankhon mein barish ki ghatan thi
Tumhare paon baadal choomta tha

Khajooron ke darakhton se bhi ooncha
Mere dil mein tumhara martaba tha

Mohabbat is liye bhi ki gayi thi
Humara sha'ar kehna mas'ala tha

Mujhe ek phool ne samjhai duniya
Jo mere sabz baaghon mein khila tha

Zuhur-e-Aadam o Hawa se pehle
Hamare waaste sab kuch naya tha

Zameen par jab zameeni mas'ale the
To barish bhi mukammal waaqe'a tha
Share: