Bana Ke Raakh Hawa Main Ura Dia Pathar

Bana ke raakh hua main uda diya patthar
Faqeer aag se kheela jala diya patthar

Kisi ke hijr ne aawaz cheen li meri
Phir intezaar ne mujh ko bana diya patthar

Woh ba-wafa tha magar mustahkil mizaj nah tha
So us ke haath mein maine thama diya patthar

Wohi zameen ke banjar kaha gaya hai jise
Is zameen pe maine uga diya patthar

Bohat ghuroor mein rehta tha aasman pe chaand
Phir aadmi ne use bhi bana diya patthar
Share: