Dikha Raha Hoon Tamasha Samajh Main Aa Jaey

Dikha raha hoon tamasha, samajh mein aajaye
Ke aik baar usay duniya samajh mein aa jaye

Yeh log ja to rahe hain naye zamane mein
Dua karo unhein rasta samajh mein aa jaye

Ghalat na jaan ke aankhein nahi raheen meri
So chhoo raha hoon ke chehra samajh mein aa jaye

Khuda kare tujhe tahzeeb-e-maye keshi ho naseeb
Khuda kare tujhe nasha samajh mein aa jaye

Yeh log jang ki baatein nahi karein ge agar
Gali mein kheilta bachha samajh mein aa jaye

Hum isko apna samajhte hain apna maanta hain
Jise hamara ilaqa samajh mein aa jaye

Nadeem doosra unko dikhai deta nahi
Nadeem jin ko bhi pehla samajh mein aa jaye
Share: