Guzar chuke hain jo unke nishan hi dekh aayen
Bujhi hai aag to chal kar dhuan hi dekh aayen
Guzishtagan ki mehroomiyan hi dekh aayen
Khandar mein bikhri hui rassiyan hi dekh aayen
Zarooratein na sahi, khwahishen to puri hon
Kharid sakte nahi to dukaan hi dekh aayen
Ghareez karti hui khalaq se zara hatt kar
Kalam karti hui khidkiyan hi dekh aayen
Tawaaf karte hue dil pe haath rakhe hue
Hum apne yaar ka khaali makaan hi dekh aayen