Har ek saans pe dhadka ke aakhri to nahin

Har ek saans pe dhadka ke aakhri to nahin
Mile dobara agar aisi zindagi to nahin

Achanak aana tumhara aur is qadar chahat
Kahin ye dost meri aakhri khushi to nahin

To kyun na tujh se teri guftagu hi ki jaye
Tere ilawa yahan mera koi bhi to nahin

Hum ahl-e-ishq bade waza-daar hote hain
Hamari aankh mein dekho kahin nami to nahin

Bichhad raha hoon main tujh se ye jaanne ke liye
Mujhe kami si jo rehti hai wo teri to nahin

Siyah rang ke andar hai jhankna mujh ko
Ye dekhne ke liye is mein roshni to nahin

Khuda se pooch rahe hain jo aane wale hain
Kahin zameen pe ye aakhri sadi to nahin
Share: