Hum ne poora zor laga kar raqs kiya
Sharm gayi to saamne aa kar raqs kiya
Duniya maston ko be ilm samajhti thi
Hum ne phir Qur'an suna kar raqs kiya
Jis ne hum ko rokna chaaha naachne se
Uski aankh se aankh mila kar raqs kiya
Chhod diya machhli ko wapas dariya mein
Aur phir apna hijr mana kar raqs kiya
Apni mitti gondhi apne ashkon se
Apne chaak ko aap ghuma kar raqs kiya
Tum ne sirf badan se us ko pooja hai
Hum ne rooh ko saath mila kar raqs kiya
Gori tujh ko khwahish de kar hum roya
Sanwali tujh ko khwab dikhakar raqs kiya
Ek maqam pe noor bhi jalne lagta hai
Aur wahan par khaak ne ja kar raqs kiya
Wahm ko apne saamne la kar raqs kiya
Ism pe ek tasveer saja kar raqs kiya
Bulle Shah ne dhol bajaya aur hum ne
Bahoo ki nagri mein ja kar raqs kiya
Holi kheli Pir Nizamuddin ke saath
Aur Khusro ko saath nacha kar raqs kiya
Ghaus Qutub Abdal mubarakain dene lage
Qadri Chishti rang mila kar raqs kiya
Yaar manana ki khatir sab naache hain
Hum ne apna yaar mana kar raqs kiya
Sharm gayi to saamne aa kar raqs kiya
Duniya maston ko be ilm samajhti thi
Hum ne phir Qur'an suna kar raqs kiya
Jis ne hum ko rokna chaaha naachne se
Uski aankh se aankh mila kar raqs kiya
Chhod diya machhli ko wapas dariya mein
Aur phir apna hijr mana kar raqs kiya
Apni mitti gondhi apne ashkon se
Apne chaak ko aap ghuma kar raqs kiya
Tum ne sirf badan se us ko pooja hai
Hum ne rooh ko saath mila kar raqs kiya
Gori tujh ko khwahish de kar hum roya
Sanwali tujh ko khwab dikhakar raqs kiya
Ek maqam pe noor bhi jalne lagta hai
Aur wahan par khaak ne ja kar raqs kiya
Wahm ko apne saamne la kar raqs kiya
Ism pe ek tasveer saja kar raqs kiya
Bulle Shah ne dhol bajaya aur hum ne
Bahoo ki nagri mein ja kar raqs kiya
Holi kheli Pir Nizamuddin ke saath
Aur Khusro ko saath nacha kar raqs kiya
Ghaus Qutub Abdal mubarakain dene lage
Qadri Chishti rang mila kar raqs kiya
Yaar manana ki khatir sab naache hain
Hum ne apna yaar mana kar raqs kiya

