Humain Charagh Banata Hai Ya Ali Kehna

Humein chiragh banata hai ya Ali kehna
Khuda ki yaad dilata hai ya Ali kehna

Woh is liye ke tere ilm mein izafa ho
Kai sawal uthata hai ya Ali kehna

Sawal yeh hai tera kya banega mushkil mein
Tu usko chhod usay aata hai ya Ali kehna

Janaab shirk to tab ho jo ho Musalmani
Humein to ishq sikhaata hai ya Ali kehna

Najaf ki raah mein milta hai jo parinda bhi
Chehak chehak ke batata hai ya Ali kehna

Munafiqeen ke chehre utarne lagte hain
Yaqeen karo nazar aata hai ya Ali kehna

Main bawli hoon mujhe ba-Ali kahe duniya
Yeh mojzay bhi dikhata hai ya Ali kehna

Mujhe sanad hai mere hoshiyar Ghazali ki
Mujhe Nadeem banata hai ya Ali kehna
Share: