Husn Hamah Tan Gosh Hai Ishq Salam Keray

Husn hama tan gosh hai, ishq salaam kare
Saayin sikhaaye bolna, saayin kalaam kare

Ishq shari'at saaz hai, ishq tariqat soz
Hukm chalaaye aap par, aap ghulaam kare

Paanch mahal hain prem ke, paanchon mein hai noor
Sajda raahi prem ka, kis kis gaam kare

Saayin aage kar diya apne aap ko dheir
Chahe to ab khaas hain, chahe aam kare

Dil mein ek dil daar hai, jis se us ka prem
Wohi haram mein aa base, aur ihram kare

Aisa nokar chaahiye jo tankhuaa na le
Shab bhar roye zaar zaar, din bhar kaam kare
Share: