Huzoor-e-Ishq Her Ek Martaba Hussain Ka Hai

Huzoor-e-ishq har ek martaba Hussain ka hai
Khuda Hussain ka, sher-e-Khuda Hussain ka hai

Hussain minni se parh ya min al-Hussain se parh
Ke ab zameen ka har qaida Hussain ka hai

Yeh Shi'a Sunni waghaira ka kaisa jhagda hai
Bas itna jaan ke bakshe hue Hussain ka hai

Sabeel walon, humein ashk hi bohat hain aaj
Tumhein samajh nahi yeh raasta Hussain ka hai

Isi liye to alayhis-salam kehna pada
Ke itna zabt faqat hosla Hussain ka hai

Khuda se 'aalam-e-arwah mein kya tha sawaal
Jawab aaya ke yeh faisla Hussain ka hai

Hassan Hussain pe waare hain shehr-e-yaar-o-waraq
Ke mere paas hai jo kuch, mera Hussain ka hai
Share: