ik gali ik gali ke sath bani

Ek gali ek gali ke saath bani
Is tarah apni kainaat bani

Ek awaaz mujh tak aayi thi
Jis pe lab rakh diye to baat bani

Tere mathe ne din kiya roshan
Teri aankhein bani to raat bani

Wehm par rakh diye gaye chehre
Aainon mein humari zaat bani

Hajr ka tajurba bhi karna tha
Is liye saari kainaat bani

Dhiyaan mein zulfe yaar-e-awwal thi
Main ghazal keh raha tha, naat bani
Share: