Khayal aaya hai apna sanwarna chahte hain
Ik intezar jo karte the, karna chahte hain
Use kaho ke wo apne ghade to bhar jaaye
Use kaho mere darya utarna chahte hain
Ada-e-husn zara sa taras zaroori hai
Kahin wo mar hi na jaayein jo marna chahte hain
Ye log wo hain jinhein naukri qabool na thi
Ab us gali mein koi kaam karna chahte hain