Khuda milaate hain zauq-e-Khudaayi dete hain

Khuda milaate hain zauq-e-Khudaayi dete hain
Ali ke betay humein Mustafaayi dete hain

Hazaar haif woh lashkar na sun saka lekin
Husain Hind mein ab tak sunai dete hain

Jahaan ke log jahaan tak Khuda samajhte hain
Wahaan talak to Ali hi dikhai dete hain

Bhara hua hai mera aansuon se mashkiza
Ke yeh sabeel faqat Karbalaayi dete hain

Ajab charaagh bujhaaya hamaare Maula ne
Faqeer aaj bhi roshan dikhai dete hain
Share: