khushk patton ki sorat bikhar jaon ga mien to mar jaon ga

Khushk paton ki soorat bikharr jaunga mein to mar jaunga
Chhod kar tera rasta agar jaunga mein to mar jaunga

Raste mein koi jin bhi aasakta hai is kahani mein bhi
Meri shehzadi phir mein kidhar jaunga mein to mar jaunga

Main ghari do ghari ka hi mehman hoon bar mat jaan na
Saath tere faqat meel bhar jaunga mein to mar jaunga

Woh hi tanhaaiyaan woh hi ruswaaiyaan hijr aaraiyaan
Mujh ko maaloom hai jab bhi ghar jaunga mein to mar jaunga

Gham Nadeem apne mein saath le jaunga reh gaye qahqahay
Doston ke liye chhod kar jaunga mein to mar jaunga
Share: