Matti ko mahka dein saeen

Matti ko mahka dein saeen
Ab to ishq sikha dein saeen

Meri subah chamak uthe gi
Thoda sa muska dein saeen

Chahe jitne darwaze hon
Rang mahal banwa dein saeen

Aasman ki deewaron mein
Ik khidki lagwa dein saeen

Thoda thoda gham ka nam hai
Phir bhi aag laga dein saeen

Chaudah tabaq roshan ho jayein
Saat charagh jala dein saeen

Pani ne rasta manga hai
Ab rona sikhla dein saeen

Bartan bar ka tan bharna hai
Ab baadal barsa dein saeen

Chakki gandum pees chuki hai
Aata to gandhwa dein saeen
Share: