Qais o Laila ka tarafdaar agar mar jaye
Main bhi mar jaoon yeh kirdaar agar mar jaye
Phir Khudaya tujhe sooraj ko bujhna hoga
Aakhri shakhs hai bedaar agar mar jaye
Chhupne walay to kabhi soch ke ek din, bal-farz
Yeh meri khwahish-e-deedar agar mar jaye
Bandh rakhi hai qabeelay ne tawaqqo jis se
Aur achanak hi woh sardaar agar mar jaye
Toot jane ka dukaandaar ko dukh hota hai
Aur khilone ko, khareedaar agar mar jaye