Raat Khamosh Hui Aor Pukaari Gai Subh

Raat khamosh hui aur pukari gayi subah
Saas leti hui khidki mein sanwari gayi subah

Ae sukhan saaz badan tere liye shaam bani
Ae raza mand hansi tujh pe utaari gayi subah

Ae siyah zulf, yeh jungle ka andhera teri kho
Ae chamakdar jabeen, tujh se nikhari gayi subah

Aisa lagta hai ke footpath pe kheli gayi taash
Aisa lagta hai joay mein kahin haari gayi subah

Khauf itna tha ke aankhon mein kahin neend na thi
Khawab aisa tha ke so so ke guzaari gayi subah

Raat mashriq ki taraf dheeron sitare toote
Raat sunne mein yeh aaya tha ke maari gayi subah
Share: