Rooh Hazir Hai Mere Yaar Koi Masti Ho

Rooh haazir hai mere yaar koi masti ho
Halqa-e-raqs hai tayyar koi masti ho

Mujh ko mitti ke pyaale mein pila taaza sharaab
Jism hone laga bekaar koi masti ho

Chaar simton ne tere hijr ke ghungroo baandhe
Aur hum log bhi chaar koi masti ho

Wird karna hai man-o-tu ka mujhe waqt-e-namaaz
Be-wazu hoon meri Sarkar koi masti ho

Koi waiz ho wazifa na koi saum-o-salaat
Jaan chhute meri ek baar koi masti ho

Tere ehsaas ki shiddat se bhara baitha hoon
Ab ke inkaar na iqraar koi masti ho

Be-niyaazaana rahega teri duniya mein faqeer
Khwab-o-khwaahish nahi darkaar koi masti ho
Share: