Rooh Ko Wajd Main Laa Raqs Dikha

Rooh ko wajd mein laa raqs dikha
Wahshat-e-ishq nibha raqs dikha

Aasman rond kabhi pairon mein
Aur zameen sar pe uthaa raqs dikha

Bhool jaa kaun kahaan kaisa hai
Dosta mauj mein aa raqs dikha

Aaj shaadi hai mere Saahib ki
Haideri rang jamaa raqs dikha

Aa! zara der mujhe yaar samajh
Aur phir yaar mana raqs dikha

Yeh zameen ghoomne wali nahin thi
Ek din us ne kaha raqs dikha

Hijr ko bhog nahin bhaag samajh
Aur phir jashn mana raqs dikha
Share: