Sehra Maen Ek Phool Hai Jis Maen Her Her Rang

Sehra mein ek phool hai jismein har har rang
Hum bhi uske khaar hain hum bhi uske sang

Chaand ka ek darbaar hai taare darbaari
Teen sau teerah mast hain yaani saat malang

Apni apni mastiyan apna apna dhyan
Duniya hum se tang hai hum duniya se tang

Jo bhi uska ho rahe usmein kare qayaam
Kaaba Arabistan mein aur main dekhun Jhang

Tez hawa hai aahon ki ashkon ki baarish
Door hai uske haath mein oonchi udi patang

Dhyan aur gyaan ek ped hain dukh sukh phal aur phool
Khud ne khud ko seenchna khud ki khud se jung

Zaat sifaat ke bojh se ho jaayein azaad
Holi khelein prem ki aao manayein rang

Tu aur main ke darmiyan ishq ki khamoshi
Sadhu ne chup saadh li ek faqeer ke sang
Share: