Sukhan tamasha bana shayari kharab hui

Sukhan tamasha bana shayari kharab hui
Tamashbeenon mein aa kar pari kharab hui

Hamein sikhao nahin bazm ke adab-aadab
Miyan humari yahan zindagi kharab hui

Khuda ka shukr mujhe be-hisaab waqt mila
Khuda ka shukr achanak ghadi kharab hui

Na phool aaye phalon tak na phal utare gaye
Jab us anar ki patton bhari kharab hui

Zamana apne kharabe samet us se mila
Phir us ke baad wo ladki badi kharab hui

Phir ek roz andhere ne saath chhod diya
Charagh toot gaya roshni kharab hui
Share: