Tamam Umr Jalay Aor Roshni Nahin Ki

Tamaam umar jale aur roshni nahi ki
Yeh zindagi hai to phir hum ne zindagi nahi ki

Sitam to yeh hai ke mere khilaaf bolte hain
Woh log jin se kabhi main ne baat bhi nahi

Meri sipah se duniya larazne lagti hai
Magar tumhari to main ne barabari nahi ki

Bas itna hai ke mera bakht dhal gaya aur phir
Mere chiraagh ne bhi mujh pe roshni nahi ki

Jo dil mein aata gaya, sadaq-e-dil se likhta gaya
Duaen maangi hain maine to shaayari nahi ki

Isi liye to mohabbat nahi hui hai tumhein
Ke tum ne yaar ki chokhat pe nokri nahi ki
Share: