Tumhare baad khud ko dekhna hai

Tumhare baad khud ko dekhna hai
Ke mujh mein aur kitna hausla hai

Mukammal tujh ko bhi karna nahin hai
Tujhe likh kar adhura chhodna hai

Zameen ka aakhri hissa hain aankhein
Jahan insaan aakar doobta hai

Na jaane kis pe mushkil waqt aaya
Koi khat mein hatheli bhefta hai

Mujhe yaksar ata kar de khudaya
Meri qismat mein jo kuch bhi likha hai

Muhabbat hi khuda se maangte hain
Muhabbat hi hamara masala hai

Nadeem ik shakhs ko paane ki khater
Mujhe had se guzarna pad gaya hai
Share: