Aatma thak chuki hai

Bahut thak chuka hoon
Yehi khud ko likhna aziyat ka sahna
Muhabbat ki nazmein mukammal na honi
Hawa ka koi bhed mujh par na khulna
Wahi jheel aur jheel ka ik kinara
Wahi namukammal kahani bhulaye na bhoole
Wo qissa hamara
Wahi chand patthar... larazte hue aks
Wahi jheel ka raqs
Wahi kaifiyaat bor hone laga hoon
Bahut thak chuka hoon
Badan mein thakawat nahin par meri aatma thak chuki hai
Musafat bhi jaise bahut barh chuki hai
Tazabzub hai sakta hai saanson ki lay toot ti ja rahi hai
Koi saath hai chhot ta ja raha hai
Mere hath paon bhi shal ho rahe hain
Main pani mein ab doobta ja raha hoon
Bahut thak chuka hoon
Share: