Charkhah

Hamara mazhab to ishq hai
Jis ki ibtida bhi aur inteha bhi
Kisi bhi an dekhe waqiye se judi hui hai
Yeh jism kya hai yeh jaan kya hai?
Yeh zindagi ka nishan kya hai?
Yeh kaun shab bhar nizam-e-khwaab-e-wisaal hum mein chala raha hai?
Yeh kaun jismon ki rooi charkhe pe kaatata hai?
Tumhara dukh hai
Tumhara dukh bhi ajeeb dukh hai
Hamare jismon mein dhadkano ke rhythm pe dhamal daalta hai
Hamari mitti uda raha hai
Hamara kya hai
Humein to charkhe ke chakron mein kisi ne uljha diya hai aise
Ke ret thal ki hamare zakhmon ke raste se
Hamare zehno mein ug gayi hai
Fareed Sain sambhale rakhna
Ke hum abhi thal se aashna bhi nahi hue hain
Aur ishq charkhe ke chakron mein
Hamare jismon ke saare dhaage ulajh chuke hain
Share: