Dhol bajne laga, raqs hone laga
Rooh jhadne lagi
Zindagi ki thakaan utarne lagi
Kurra-e-Arz par jashn ka hai samaan
Is qadar shor hai, al-amaan, al-amaan
Kis ko maloom hai tum kahan, main kahan
Kaun se sam pe kis ne tawakuf kiya
Phir nahin uth saka
Kis ke kandhon ke sooraj utarne lage
Kis ki zulfon ke taare bikharne lage
Kis ke maathay pe taqdeer ka khauf hai
Kis ke pairon mein sadiyon bhara zu’af hai
Kis ko gathri mein baandhi hui zindagi bojh lagne lagi
Kis ko maloom hai kaun hai jaanata
Dhol bajne laga, raqs hone laga
Zindagi ki thakaan utarne lagi
Dhol hai ya ke tareekh hai kurra-e-Arz ki
Taal hai ya mohabbat ka anjaam hai
Raqs hai ya tumhara, mera naam hai
Rooh jhadne lagi
Zindagi ki thakaan utarne lagi
Kurra-e-Arz par jashn ka hai samaan
Is qadar shor hai, al-amaan, al-amaan
Kis ko maloom hai tum kahan, main kahan
Kaun se sam pe kis ne tawakuf kiya
Phir nahin uth saka
Kis ke kandhon ke sooraj utarne lage
Kis ki zulfon ke taare bikharne lage
Kis ke maathay pe taqdeer ka khauf hai
Kis ke pairon mein sadiyon bhara zu’af hai
Kis ko gathri mein baandhi hui zindagi bojh lagne lagi
Kis ko maloom hai kaun hai jaanata
Dhol bajne laga, raqs hone laga
Zindagi ki thakaan utarne lagi
Dhol hai ya ke tareekh hai kurra-e-Arz ki
Taal hai ya mohabbat ka anjaam hai
Raqs hai ya tumhara, mera naam hai

