Hamesha khawab ban kar khwahishon ki aankh mein tum gum hi rehte ho
Larazte saaye ki soorat hamesha dastaras se door rehte ho
Kabhi tum samne aao
Tumhein woh khauf dikhlaoon
Ke jo khwabon ke aksar toot jane par
Kisi ki murda aankhon se tipakta hai
Badan ke chaak par
Khwahish ki mitti se khilone kaise bante hain
Udaasi qadam se barh jaye
To pasti ka bohot ehsaas hota hai
Ke jaise samne koi nahi hota
Magar phir bhi hamesha paas hota hai
Koi bhi baat jo hoti nahi
Woh kis kadar takleef deti hai
Ke jaise misra jaa par gira lagti nahi
To zehan-e-shaayar wajd ke mausam banata hai
Mera wajdan tum ko dekh kar hi wajd mein aata hai
Tu koi mukammal sher hota hai
Kabhi tum samne aao
Ke meri chand ghazle aur nazmein naamukammal hain
Tumhein kho ne ke dar se
Ab tumhein paane ki khwahish bhi nahi dil mein
Magar phir bhi