Khazan ke zard patton par
Koi bhooli kahani ya kisi ki zindagi ka
Jab koi bhi baab tum likhna
To mujh ko yaad kar lena
Kabhi tum shaam ke chup chaap aur sehme hue kone mein
Tanhai ke dar mein mubtala hona
To mujh ko yaad kar lena
Kabhi tum par December lambi raaton ke agar patthar giraye
Aur tum se kuch na ban paye
Kisi bhi wasl ke lamhe ko phir tum dhyan mein lana
To mujh ko yaad kar lena
Main ik ehsaas hoon
Dekho wahi ehsaas hoon main jo
Tumhari zindagi ki chand raaton mein tumhara tha
Main aawara kiran hoon
Jo ke weeranon mein qabron pe sakhawat karne lagti hai
Kabhi tum roshni ki chaah mein had se guzar jana