paon se sar tak musafat

Ek be ma'ni musafat ki thakan pehne hue
Qafila chalne laga hai
Paniyon ke shore mein bhi rakhte jaan kashti ki soorat
Tirta jaata hai
Ab to baadbaan bhi phat chuke
Ek musafat aur hai
Zindagi ki yeh musafat mere chehre par zara tadhire ho
So koi tadbeer ho
Mere sooraj ab kabhi chhupna nahi
Taa ke apne saaye ko hi rondne ka yeh safar jaari rahe
Aur wajd bhi taari rahe
Zindagi se jang bhi jaari rahe
Zindagi ki jang mein maal-e-ghanimat khwaab hain
Par aaj khwaabon se nikal kar
Main haqeeqat ke samundar par
Dwana war chalne ke liye tayaar hoon
Mere pairon ko mohabbat ko tumet dhamal pehna
Phir kahin aisa na ho
In gunghron ka shor sun kar yeh samundar jaag uthay
Paaon se sar tak musafat tay hui thi
Aur main deewar se lag kar abhi tak
Apni qaamat ka ta'ayun kar raha hoon
Aaj khud se dar raha hoon
Aaj main chhupne laga hoon
Aaj mujhe to dhoond aur bas dhoond...
Share: